praachin kaal mein,satyug mein ek mahabhayankar,atulit balshaali
daitya 'mahishaashur' hua tha.usne teeno lokon mein bhayankar utpaat
failaya.usne apni aasuri shaktiyon ka prayog kar teeno lokon par
adhikaar kar liya.dev gan svarg lok se bhaagkar param pita brahma ji
ki sharan mein pahunche tatha unse mahishaasur ke vadh ka upaay
poochha.Brahma ji ne devtaao ko kailaash parvat par maa bhagvati uma
ki sharan mein jaane ko kaha.devtaao ne kailaash pahunch kar maa
bhagvati uma ki badi sundar stuti ki tatha apne aane ka prayojan unhe
bataya.tab maa ne unhe mahishaasur ka vadh karne ka aashvaasan diya.
Mahishaasur ke vadh hetu maa bhagvati ne 'kaatyaayani' avtaar
liya.mahishaasur param shaktishaali tha isliye maa kaatyaayani ne
shaktiya praapt karne hetu bhagvaan 'sri vishnu' ki kathin aaraadhana
ki.bhagvaan sri vishnu prakat huye tab maa kaatyaayani ne unki badi
sundar stuti karte huye vardaan maanga ki-'he govind! Aap garud ji par
savaar hokar das vibhinn dishaao mein das vibhinn aayudh lekar meri
rakshha karen,ek bhuja 'sansar' roop mein meri rakshharth dhaaran
karen'.
Tab bhagvaan sri vishnu ne maa kaatyaayani ko 'garud govind ji'
svaroop mein darshan dekar shaktiyaan pradaan ki tatha maa kaatyaayani
ne mahishaasur ka vadh kiya.
Thakur sri govind ji maa kaatyaayani ko diye vardaan ke anusaar das
vibhinn bhujaao mein das vibhinn aayudh dhaaran kiye huye hein tatha
ek bhuja 'rakshharth' varad mudra mein hai aur ek any bhuja se garud
ji ko pakde huye hein.
garud puraan mein is katha ka vistrat varnan praapt hota hai.maa
kaatyaayani ne bhagvaan sri vishnu ki jo stuti ki vah 'srivishnupanjar
stotra' naam se prasiddh hai.yah stotra param kalyaankaari hai.
treta yug mein bhagvaan shri raam ne baarah bhuja ka yah
svaroop,baarah mahino ke baarah sooryon ke shreshthata sambandhi
abhimaan ko mitaane ke liye unke dvaara dee gayeen vibhinn bheto ko
ek saath lene ke liye dhaaran kiya tha.
Dvaapar yug mein bhagvaan sri krishna ne raas leela ke samay,raas
leela ka darshan karne aaye garud ji ki vishesh praarthana par 'baarah
bhuja' ka svaroop dhaaran kar garud ji ko darshan diye.
Jai govind