brij bhagvaan sri krishna ki leela sthali hai.yahaan bhagvaan sri
krishna ne anek roop dhaaran kar anek vibhinn leelayen ki.bhagvaan sri
krishna ke ve sabhi leela vigrah brij mandal mein vibhinn svaroopo
mein aaj bhi viraajmaan hein.
Chhatikara ke paas 'shadang van' mein viraajmaan sri garud govind ji
brij ke aise hi praachintam sri vigrah hein,jinki pratishthapana
lagabhag 5000 varsh poorv sri krishna bhagvaan ke prapautra
'vajranaabh ji' ne apne kulguru 'gargaacharya' ke saannidhya mein ki
thi.bhagvaan sri garud govind ji yahan pauraanik 'baarah bhujao' ke
adviteeya svaroop ke sath sri garud ji ki peeth par viraajmaan
hein.bhagvaan ka yah svaroop sansar mein durlabh hai.sri govind ji ke
sath baayeen taraf maa lakshmi ji viraajmaan hain.
Thakur sri garud govind ji ke darshan param manohar evam kalyaankaari
hein.garud govind ji ke darshan maatra se bhakto ko manovaanchhit fal
ki praapti ho jaati hai.
Sri garud govind ji ki sannidhi se paavan brij ka yah pavitra evam
prachin teeth sthal 'kaal sarp yoga anushthaan' hetu vishva prasiddh
hai.thakurji ke darshan maatra se 'kaal sarp dosh' janit prabhaav
vinasht ho jata hai.
Sri garud govind ji ka ullekh anek prachin grantho-'garud
puraan','garg samhita','bhakt maal' aadi mein praapt hota hai.
Jai govind
Thursday, May 20, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment